poetry For the World

Saturday, August 15, 2009

Her zulm teri yaad ha bhula tu nahi hoo,


ay wada faramosh main tujh sa tu nahi hoo,


ay dost mujhe dekhta ha ab q zamana ?


dewanna sahi un ka tamasha tu nahi ho,


chup chap sahi msl-e-husn wkt k hathon,


majbor sahi wqt se hara tu nahi hun,


Dil tora hy apnoon ne tu shikwa na karian ge,


wo bhul gya mujh ko,me bhula tu nahi hoo,


sahil pe khary tum ho, kia dar ha chale jana,


main doob raha ho abhi dooba tu nahi hoo,

Dar-e-qafas se pary jab hawa guzarti ha


kisy kabar k aseroon pe kia guzarti ha,


talluqat kabi is qadar na tooty the,


k teri yaad b dil se khafa guzarti ha,


wo ab miley b tu milta ha is tarha jasy,


bujhey charag ko choo kar hawa guzarti ha,


faqeer kab k gaye jungloo ki simat mager,


Muhabbat ka ilzam ha abi tak,


maikhane main bhooly se chaly aye the MOHSIN,


ahbab ki nazron main badnam hain abhi tak,